Saturday, 18 April 2020

Ghar Sey Jab Bahrey Safar Sayed-e-Aalam Nikley (Safar e Imam Hussain/1st Muharram)

Ghar sey jab bahrey safar Sayed-e-Aalam nikley
Sar jhukaye huve baadeeda-e-pur num nikley
Khaisho farzand kamar baand ke baaham nikley
Rokay farmaya ke is shaher sey ab hum nikley
       Raat se girya-e-Zehra ki sada aati hai
      Dekhein qismat hamein kis dasht mein lejaati hai

Ruqh kiya Sheh ney suey qabrey shahinshah-e-anaam
Bahrey tasleem jhukey muttasiley baab-e-salaam
Izn pad kar jo gaye qabr ke nazdeek Imam
Arz ki aaya hai aaj aakhri rukhsath ko ghulam
       Yeh makaan hum se ab aye shah-e-zaman choot tha hai
      Aaj Hazrat ke nawaase sey watan chootha hai

Chaen sey sab hain gharoun may mujhey milta nahin chaen
Saqth aafat may hai ab apka yeh noorul aiyn
Tukde dil hota hai jab rokay haram kartey hain bayn
Nunhey bachchonko bhala lekay kidhar jaye Hussain
       Shahr mein chaen na jungle may amaan milti hai
      Dekhiye qabr musaafir ko kahan milti hai

Ab meray sar ke liye teiz huvey hain khanjar
Ahle keen shar pey kamar baandhey hain ya khaire basher
Aapne di thi isi roz ki Amma ko khabar
Waaledaa royi theen doh roz talak peet ke sar
       Is nawasey ko magar bhool na jaana Hazrat
      Zibha ke waqt madad karney ko aana Hazrat.

Yeh woh din hai kay parinde bhi nahin chodtey ghar
Mujh ko dar pesh hai in rozon mein aafat ka safar
Hai kaheen qatl ka samaan kahin lut jaane ka darr
Saath hai bachoun ka aye Badeshah-e-jinno bashar
      Thang jeenay sey hoon paas apney bulaalo naana
       Apni turbath may nawaasey ko chupaalo naana

Yeh bayaan karke jo taaveez se liptey sarwar
Youn hili qabr ke tharrayi zaree-e-anwar
Aayi turbath se ye awaaz-e-Habeebe daawar
Teri ghurbat ke main sadqey meray mazloom pisar
      Koyi samjha na meri ghoud ka paala tujko
       Haaye aadaa ney Madine sey nikaala tujko

Aye meray gaysooun waaley meray Sabir Shabbeer
Meray beykas meray mazloom musaafir Shabbeer
Na raha koyi tera yaawar o naasir Shabbeer
Haaye aye gor-e-garibaan ke mujaaver Shabbeer
      Tu jahan jayega pyare wahin chaltahoon mai
       Khaak udaata huvaa Turbath say nikalta hoon mai

Kayee din sey teri maadar ko nahin qabr mein chaen
Aayi thi shab ko meray paas yeh karti huvi bayn
Ghar mera lut tha hai faryaad Rasool-o-Saqlain
Subha ko apna watan chodkay jaata hai Hussain
      Kahne aayi hoon ke muh qabr se moudoongi main
       Apney bachchey ko akela tho na choddoongi main

Sunke yeh Sheh ney kiya aakhri rukhsath ka salaam
Nikley rothay huvey jab rauza-e-anwar sey Imam
Sheh ney us dum yeh kiya ro ro ke Zainab ney kalaam
Qabr par maa ki mujhey ley chalo ya Shaahey Anaam
      Loug humraah hain mehmil mai main kyonkar rovoon
       Maa ki turbath sey phir ek baar lipat kar rovoon

Maa ki turbath pa gaye shah ba chashm-e-khoon baar
Uthri mehmil sey basadh aaho fughaan Zainab-e-zaar
Daud kar qabr sey liptey jo Imam-e-Abraar
Haath Zehra ke lahadh sey nikal aaye ek baar
       Aayi awaaz na ro-o dil ko qalaq hotha hai
       Qabr hilthi hai kaleijaa mera shaq hotha hai

Haan bulaao mera Abbas dilaawar hai kidhar
Woh fidaa hai meray bachchey pa mai sadqey uspar
Shikam-e-ghair sey go hai par woh mera hai pisar
Yeh sadaa sunkey baraadar ko pukaarey sarwar
       Abhi rehwaar ko aagay na badhaao bhaayi
       Yaad farmaathi hai amma idhar aao bhaayi

Aakey Abbas nay sar rakhdiya paaeen-e-mazaar
Aayi Zehra ki sadaa main teri ghurbath ke nisaar
Apney pyaaroun ke baraabar mai tujhey karti hoon pyaar
Dhyaan bhaayi ki hifaazath ka rahey aye dildaar
      Koyi ghurbath mai ussey maar na daaley beta
       Mera Shabbir hai ab teray havaaley beta

No comments:

Post a Comment